Ghazal
bay aitbaar shaks tha sogawaar kar gaya
lakin mere shaoor ko baidar kar gaya
kuch main nay ishtiaal main shikway gilay kiye
kuch wo shikayatain sar-e-bazar kar gaya
pehlay wo meri zaat ki tameer main raha
phir mujh ko apne hath sey mismaar kar gaya
wo aa mila tou faaslay kattay chalay gaye
bichra tou raaste mere dushwaar kar gaya.
|